Its another Diwali (Indian festival of lights) - not sure if there is any relation with Christmas....
How about this for relation- diwAli Ramjaan !!!!
here are some thoughts expressed in Hindi using Roman script:-
Diwali hai to dil Jalega-
ya fir yUn hi dhuan nikal jayega
aur kisiko pata bhi nahi cahlega
bas Un hi
ab na umar hai
na wo dost
na jagah wahi- na nazara waisa
to kya kare
mana dil wahi hai, khayal wahi, aur 'wo' bhi wahi.....
par kya kare
jab mausam ke mizaz me kuch tabddili aa jaye
puchhte ho dil nahi lagta kya?
dil se puchhte hi nahi hain-
mauka nahi milta
zindgi me kuchh hi baar aisa hua hai
ki
dil se puchha hai- par jawab hamesha 'na' me hi mila hai
shayad is liye puchhte hi nahi
dil ka kya value hai
jo dikhta bhi nahi-pata nahi- hai bhi ki nahi
bas kabhi uddas hone ko ji karta hai
aur hum dil ko bahane ki tarah maan ke kaam chala lete hain
Is baar bhi Diwali aayegi aur chali jayegi
Kabhi kuchh laayi hai?
agar 'Haan' to kya is baar wapas le ke jayegi?