Wednesday, December 06, 2006

Tuesday, November 28, 2006

Thursday, November 23, 2006

Ghazal

khubsurat zindgi ki chaah me nikla tha Gaon se shehar ke liye
Mujhe nahi pata tha yahan aakar tadpunga marne ke liye
Itne uunche maka.(n) ki aasama. (n) ke k.areeb
Tarasta hun zamee ke liye
Hame. maloom ki wo yahi hain Par waqt nahi unse milne ke liye
Tadad itni har cheej ki yahan pe Ki pakshiyon ko jagah nahi chehakne ke liye
Kale dhuain me sama gaya suraj Ki chand ko intezar nahi raat ke liye
Prakriti ke naam par kuchh rangeen paudhe aate nazar Shukr hai kahi kuchh to hai kehne ke liye
Umeed hai ki chand roz me log chidkenge itra (scent) Gaaon ki mitti ki khushboo ke liye Khubsurat zindgi ki chaah me nikla tha gaon se shehar ke liye

Tuesday, November 21, 2006

kuchh yun hi-

aaj ki raat ajeeb hai arsse baad tumhari yaad aa gayi -bilkul nahi badli ho tum 'neend ki dushman' ------------------------------------ chaha tha jise uski shadi ho gayi chalo aab khatm hua janjaal bas aazadi ho gayi pyaar ka aashiyan jaala sawan me barbadi ho gayi hindustan-ki-pakistan zindgee-'kashmir ki wadi ho gayi' ------------------------------------ "badal chahe kitne bhi parat bichha de aasmaan jab rota hai to -dhartee ki gaal bhigti hi hai!"

Naam?

Wo kanghi se khidkee ke grill ka khat-khatana Wo sandle se darwaje pe tap-tapana Wo gusse se bhari aankho se dekhkar munh banana Aur wo jaan-bujhkar andekha kar jaana Sab mere hi naam to hain Aise hi to 'tum' bulayaa karti thi....

Monday, November 20, 2006

Almighty's child!

anaath hun main kiske saath hun main aapno ke liye parayaa hun main gairon ke sahare hun main zindgi ke zehar ko pi kar amar hun main kisi ke zism ki kali hun main bhagwan ke dwarey hun main katu anubhawon se jail hun main fir bhi mishri ki dhalli hun main anaath hun main kiske saath hun main....

Self talking....

Shabdon ki ladiyaan pirota hun Dil ko behlane ke liye Na ki shayar kehlane ke liye Ghamon ko chhupata hun Muskuranne ke liye Na ki shayar kehlane ke liye Waqt ke thapedon ko sehta hun Zindgee me kuchh pane ke liye Na ki shayar kehlane ke liye 'Unse' milta hun Bas farz jatane ke liye Na ki shayar kehlane ke liye Sapno ko sajata hun Sachchaee se munh chupane ke liye Na ki shayar kehlane ke liye Sanson ki seedhiyan chadhta hun Jeene ki aadat nibhane ke liye Na ki shayar kehlane ke liye

The Other Woman

Tum madmast allhadR jawani ho Par meri Rani nahi ho Tum chanchal chanadni ho Par Suraj ki roshnee nahi ho Tum indradhanushi badal ho Par aasmaan ki sadgee nahi ho Tum sharab si nasheeli ho Par pyase ki pani nahi ho Tum khushnuma rangeen raton ki kahani ho Par jeewan ki sangnee nahi ho Tum manzi ki nishanee ho Par hayatt-E-haqeeqat ki pareshani nahi ho Tum madmast allhadR jawani ho Par meri Rani nahi ho (manzi=Past, hayatt-E-haqeeqat=life of the reality)

Sunday, November 12, 2006

"Good Morning!"

Kya Tum sachmooch itnee achhee ho Ya main sapna Jee raha hun Bheege balon ki khushboo Madmata chumban Garam chai ka cup Pyaar bhari gup-shup Itna kuchh Mere liye Har Roz....

Saturday, November 11, 2006

Cheers!

Rikshaw Puller

Wah! Pawn zamin pe nahin Wibhinn logon ka bojh dohte ho Suraj tum me samane ko bekarar Ganga tum odhe ho Bade ajib ho “Nahi! Main Garib hun, Riksha wala”

Saturday, November 04, 2006

Marital Bliss!!!!

Biwi ho Tum Mehbooba nahi
Isliye Tumhari Nazron me Dooba nahi

Muhabbat ka falsafa bahut hua

roz-roz Ye shayaree hoti nahi

Reshmi julfon me khona yaad hai

bas Dal me paana achha nahi

Wo Intejar aur Wo Mulaqaat kitne haseen the

par har waqat ka saath achha nahi

Bite dinon ki baat, Udasi ki Raat shayad achhi thi

Meri Khushi ho 'Tum',Aasan sab kuchh achha nahi

Bibi ho Tum Mehbooba nahi

Isliye Tumhari Nazron me Dooba nahi

Thursday, October 19, 2006

another Diwali_°^°_

Its another Diwali (Indian festival of lights) - not sure if there is any relation with Christmas.... How about this for relation- diwAli Ramjaan !!!! here are some thoughts expressed in Hindi using Roman script:-
Diwali hai to dil Jalega- ya fir yUn hi
dhuan nikal jayega
aur kisiko pata bhi nahi cahlega
bas Un hi ab na umar hai
na wo dost
na jagah wahi- na nazara waisa to kya kare mana dil wahi hai, khayal wahi, aur 'wo' bhi wahi.....
par kya kare jab mausam ke mizaz me kuch tabddili aa jaye puchhte ho dil nahi lagta kya? dil se puchhte hi nahi hain- mauka nahi milta zindgi me kuchh hi baar aisa hua hai
ki
dil se puchha hai- par jawab hamesha 'na' me hi mila hai shayad is liye puchhte hi nahi dil ka kya value hai
jo dikhta bhi nahi-pata nahi- hai bhi ki nahi bas kabhi uddas hone ko ji karta hai
aur hum dil ko bahane ki tarah maan ke kaam chala lete hain
Is baar bhi Diwali aayegi aur chali jayegi
Kabhi kuchh laayi hai?
agar 'Haan' to kya is baar wapas le ke jayegi?

Monday, August 14, 2006

First step can not be the beginning. Its a continuum process. Point of reference is key but which is that point? How do you ascertain? Where is the begining.... (to be continued....)